Monday, 17 November 2014

Uss Awaaz Ko Mat Dabao !!

Mat chalao uske sapno par , ye atyachar ke baan.
Be-abroo  to na  karo, gar na kar sako  samman.
Kahte hai bharat desh me , hoti  hai  nari  pooja.
Darindagi ki hadd hi na ho jahan  , aisa  desh na ho dooja.
Kanya bhroon hatya par tum, kyu hote ho sharminda,
Unhe to bachao pahle, jo hain abhi zinda.
Jahan  durga  saraswati k  age,  diya  lagaya jata hai,
Wahi dahej or sati ke naam par, use zinda jalaya jata hai.
Wo  ghav  shayad  bhar bhi jaye ,jo  shareer par  chhod  diye,
Man or dil ke  jakhmo ka kya, jinko tar -tar tod diye.
Maa  beti   bahu or bahan ka,usne har farz nibhaya hai,
Are!!!  Hevaniyat bhi kaanp uthhe , uska aisa karz chukaya hai.
Jurm kya kiya usne ,jara dosh uska batao,
Keval ek ladki hone ki to, na aisi saza sunao.
Bap , bhai ,bete hone ka, tum bas ek farz nibhao,
Jo awaz  uthhaye  wo   insaf ki,  uss  awaaz  ko  mat  dabao.





3 comments: