Mat chalao uske
sapno par , ye atyachar ke baan.
Be-abroo to na
karo, gar na kar sako samman.
Kahte hai bharat
desh me , hoti hai nari
pooja.
Darindagi ki hadd hi
na ho jahan , aisa desh na ho dooja.
Kanya bhroon hatya par
tum, kyu hote ho sharminda,
Unhe to bachao pahle,
jo hain abhi zinda.
Jahan durga
saraswati k age, diya
lagaya jata hai,
Wahi dahej or sati
ke naam par, use zinda jalaya jata hai.
Wo ghav shayad bhar bhi jaye ,jo shareer par chhod diye,
Man or dil ke jakhmo ka kya, jinko tar -tar tod diye.
Maa beti
bahu or bahan ka,usne har farz nibhaya hai,
Are!!! Hevaniyat bhi kaanp uthhe , uska aisa karz
chukaya hai.
Jurm kya kiya usne
,jara dosh uska batao,
Keval ek ladki hone
ki to, na aisi saza sunao.
Bap , bhai ,bete
hone ka, tum bas ek farz nibhao,
Jo awaz uthhaye
wo insaf ki, uss
awaaz ko mat
dabao.